Aaj
Phir
Aaj phir wo mili mujhse sapno me aa,
Aaj phir Usne mujhse mera haal pucha,
Aaj phir wo na koi jawab de saki ,
Aaj phir maine us se wahi sawal pucha,
Aaj phir thi wo chup chup na bol payi kuch,
Aaj phir na hansi wo bas muskurayi kuch,
Aaj phir uske chehre par masumiyat si thi,
Aaj phir dono hum khali hath rah gaye,
Na mujhe kuch mila aur na wo payi kuch,
Aaj phir uski batein sari yaad aa gayi,
Wo adayein uski wo sadayein uski,
Mere dekhne par chehra ghuma lena wo,
Mere mudne par tirchi nigahen uski,
Uska jo noor tha kitna mashahoor tha,
Yaar mera thaw o chashm-e-baddoor tha,
Uske rashm-o-riwaz uska dastur tha,
Meri majburiyan wo bhi majboor tha,
Pahle ki tarah wo bani rahi ajnabi,
Aaj phir usne mujhse darkinar kar liya,
Aaj phir usne mujhko pehchana nahi,
Aaj phir maine khud se aankhe char kar liya,
Aaj phir mere arman jage raat mein,
Aaj phir bahon ki wo jarurat lagi,
Aaj phir chand ki roshni me nahayi,
Wo mujhko koi jaise murat lagi,
Aaj phir sapna mujhko hakikat laga,
Aaj phir nind aise hi toot gayi thi,
Aaj phir maine khud ko thaga paya tha,
Aaj phir mujhko wo jaise loot gayi thi.
Aaj fir mai uski yaad me rona chahta hu,
Aaj fir khwab me dekh usme khona chahta hu,
Agar sapne me hi likhi hai meri mulakat us se,To
Aaj fir mai hamesha ke liye sona chahta hu,,!!!!
....................................................by-Ambuj pandey