Thursday, 4 February 2016

badal le tu jindagi is baar se


chal musafir aa gayi hai jindagi us mod par
khud ko apnana tujhe hai sare naate chhod kar
chhod de duniya ki rasme sare bandhan tod de
lakshya ka rakh dhyan raste saare usse jod de

Dhyan rakh jakar kabhi fir jindagi ati nahi
manjil ka tujhko rasta har kadam dikhlati nahi
mila hai mauka pakad le jane isko nahi dena
ek ke hi rag me duniya khar pal gati nahi

badhna tujhko bahut age hai sabhi ki baat se
andhere ko din ke chamka ujale ki raat se
bhul ja tu bhagya ko chhod de alochnayein
utha mehnat ki kalam likh kismat apne hath se

jeetna gar chahta hai dosti kar pyar se
acha banna chahe to suruat kar bekar se
kya kahe koi use mat dhyande sun kar bhi tu
kuch bhi kar ke badal le tu jindagi is baar se

...............................................Ambuj