It’s Me
Mai
samajh nahi paa raha ye mujhko kya ho
gaya hai,
Lagta
hai jaise mera sab kuch kho gaya hai,
Ab
khud se mujhe dar lagne laga hai,
Yun
hi rahunga ab main umra bhar lagne laga hai,
Hansta
hu tumhe hansane ke liye,
Khush
rahta hu tere muskurane ke liye,
Bolta
rahta hu taki tu kuch soche na,
Warna
kuch bhi nahi hai mere paas tujhe batane ke liye,
Nafrat
ho gayi hai mujhe ab khud se,
Bharosha
jo karte hai dhokha kar raha hu unse,
Nahi
de paa raha unko unke hisse ki khushiyan,
Dar
lag jata hai jab bhi dekhta hu piche mud ke,
Chandani
raat bhi ab mujhe jalane lagi hai,
Meri
zindagi bhi ab mujhpe muskurane lagi hai,
Baithe
baithe achanak mai kahi kho sa jata hu,
Khuli
aankho se ab mujhe nind aane lagi hai.
Fulo
se bhi meri dushmani ho gayi hai,
Kanto
se bhari meri zindagi ho gayi hai,
Khushi
mujhse ab jaise ruth si gayi hai,
Gam
se meri sachchi dosti ho gayi hai.
Ujale
se kabhi kabhi dar lagne lagta hai,
Fir
andhera hi mujhe apna ghar lagne lagta hai,
tanhai
me basana chahta hu mai khud ko,
aur
ujda hua mujhe mera shehar lagne lagta hai,
mujhe
apno se bas unki khushi chahiye,
jisme
kabhi gam na aye aisi unki zindagi chahiye,
mai
unse kuch nahi mangata apne liye,
jo
wo chahte hai mujhe bas wahi chahiye.
……………………………………………………………Ambuj Pandey