Monday, 28 October 2013

DUNIYA HAI MATLAB KI YAR
duniya hai matlab ki yar
Kya dosti aur kya pyar,
Janam hua hai eklaute aur marna bhi hai eklauta,
Daulat shohrat sab ayegi khoj le tu bas ek mauka,
Na yar kahi na pyar kahi karna tujhko khud hi sab hai,
Rishte hai tab tak jab tak unka kuch tujhse matlab hai,
Sangharsh kar na kisi se dar aasma ko tu jhukayega ,
Na manana kabhi har tu manjil ko tu pa jayega,
Lagan hai mehnat hai lakshya tere paas hai,
Jeetna hai tujhko tujhse kah taha vishwas hai,
Karna bharosha mat kabhi tu lakiro ke haath ki,
Tu badh akela na jarurat tujhe kisi k saath ki,
Ladkhadayega kabhi tu gar kisi bhi mod par,
Yaad karna khud ko tu najro ko apni oar kar,
Shakti milegi oorja ki lahar tujhme bahegi,
Mujhko tera intezar hai manjil khud tujhse kahegi,
Vahi(manjil) ar hai vahi pyar hai jeene ki tere vajah hai,
Jeewan tera kora kagaj gar khali iski jagah hai,
chheen le isko tu varna jeena tera hai bekar,
duniya hai matlab ki yar,
kya dosti aur kya pyar……!
…………………………………………………………..Ambuj Pandey

No comments:

Post a Comment