Monday, 28 October 2013

अच्छा लगने लगा 

वो जो हमेशा मेरे पास रहा करते थे, 
उन्हें मुझसे अब दूर जाना अच्छा लगने लगा, 
जो मुझे एक पल भी उदास नहीं देख सकते थे, 
उन्हें मेरा दिल अब दुखाना अच्छा लगने लगा, 
दुनिया में एक पहचान बनाने मैं चला था, 
सनम मेरा जब मेरे साथ में खड़ा था, 
सबसे मैं पहले खुल क बातें करता था, 
अब खुद से ही सब बोल जाना अच्छा लगने लगा, 
ख़ुशी मुझसे अब जैसे रूठ सी गयी हो, 
जीने कि आस जैसे छूट सी गयी हो, 
रातों को तकिया भीगती है आंसुओं से, 
और दिन का उदाशी में गुजर जाना अच्छा लगने लगा। 
It’s Me
Mai samajh  nahi paa raha ye mujhko kya ho gaya hai,
Lagta hai jaise mera sab kuch kho gaya hai,

Ab khud se mujhe dar lagne laga hai,
Yun hi rahunga ab main umra bhar lagne laga hai,

Hansta hu tumhe hansane ke liye,
Khush rahta hu tere muskurane ke liye,
Bolta rahta hu taki tu kuch soche na,
Warna kuch bhi nahi hai mere paas tujhe batane ke liye,

Nafrat ho gayi hai mujhe ab khud se,
Bharosha jo karte hai dhokha kar raha hu unse,
Nahi de paa raha unko unke hisse ki khushiyan,
Dar lag jata hai jab bhi dekhta hu piche mud ke,

Chandani raat bhi ab mujhe jalane lagi hai,
Meri zindagi bhi ab mujhpe muskurane lagi hai,
Baithe baithe achanak mai kahi kho sa jata hu,
Khuli aankho se ab mujhe nind aane lagi hai.

Fulo se bhi meri dushmani ho gayi hai,
Kanto se bhari meri zindagi ho gayi hai,
Khushi mujhse ab jaise ruth si gayi hai,
Gam se meri sachchi dosti ho gayi hai.

Ujale se kabhi kabhi dar lagne lagta hai,
Fir andhera hi mujhe apna ghar lagne lagta hai,
tanhai me basana chahta hu mai khud ko,
aur ujda hua mujhe mera shehar lagne lagta hai,

mujhe apno se bas unki khushi chahiye,
jisme kabhi gam na aye aisi unki zindagi chahiye,
mai unse kuch nahi mangata apne liye,
jo wo chahte hai mujhe bas wahi chahiye.



……………………………………………………………Ambuj Pandey
DUNIYA HAI MATLAB KI YAR
duniya hai matlab ki yar
Kya dosti aur kya pyar,
Janam hua hai eklaute aur marna bhi hai eklauta,
Daulat shohrat sab ayegi khoj le tu bas ek mauka,
Na yar kahi na pyar kahi karna tujhko khud hi sab hai,
Rishte hai tab tak jab tak unka kuch tujhse matlab hai,
Sangharsh kar na kisi se dar aasma ko tu jhukayega ,
Na manana kabhi har tu manjil ko tu pa jayega,
Lagan hai mehnat hai lakshya tere paas hai,
Jeetna hai tujhko tujhse kah taha vishwas hai,
Karna bharosha mat kabhi tu lakiro ke haath ki,
Tu badh akela na jarurat tujhe kisi k saath ki,
Ladkhadayega kabhi tu gar kisi bhi mod par,
Yaad karna khud ko tu najro ko apni oar kar,
Shakti milegi oorja ki lahar tujhme bahegi,
Mujhko tera intezar hai manjil khud tujhse kahegi,
Vahi(manjil) ar hai vahi pyar hai jeene ki tere vajah hai,
Jeewan tera kora kagaj gar khali iski jagah hai,
chheen le isko tu varna jeena tera hai bekar,
duniya hai matlab ki yar,
kya dosti aur kya pyar……!
…………………………………………………………..Ambuj Pandey
....FOR INDIA…FOR INDIANS…..
Khud me matbhed ho To koi bhi bant leta hai
Virodh na karo to murda bhi dant leta hai
Kya kar sakte hi hum jab kismet hi buri ho(sarkar hi aisi hai)
Aise me to oont pe baithe baune aadmi ko bhi kutta kat leta hai
Kewal bhashan se unko koi  seekh na milegi
Kisi tulna me INDIA unko feek(feeki) na milegi
Sambhal jao PAKISTAN abhi bhi waqt hai
Warna rone se bhi tumko jeewan ki bhikh na milegi
Sarkar to luli langadi hai unse na kuch apna hoga
Humko hi pura karna BHAGAT SINGH ka sapna hoga
Lagta hai wo ye bhul gaye ye BHRAT sheron ka ghar hai
Jitne jawan hamare, pak me utna bhi ghar na hoga
Shantivad ka path nahi ata hai us gaddar ko
Kuch karke dikhana hoga humare desh ke pahredar ko
GANDHI ko hi nhi Hum SUBHAS ko bhi poojte hai
Ehsas dilana hoga ye us PAK ki sarkar ko
Maa ke anhal me jo bhi daag lagaye maar do
Aman jise ata hi nahi us dushman ko na pyar do
Ghar ki seema me hi jo khud ake sendh lagata hai
Aise papi desh se tum mukt karo sansar ko..
……JAI HIND….JAI BHARAT…….

……….BY:-Pandey Ji