Monday, 28 October 2013

It’s Me
Mai samajh  nahi paa raha ye mujhko kya ho gaya hai,
Lagta hai jaise mera sab kuch kho gaya hai,

Ab khud se mujhe dar lagne laga hai,
Yun hi rahunga ab main umra bhar lagne laga hai,

Hansta hu tumhe hansane ke liye,
Khush rahta hu tere muskurane ke liye,
Bolta rahta hu taki tu kuch soche na,
Warna kuch bhi nahi hai mere paas tujhe batane ke liye,

Nafrat ho gayi hai mujhe ab khud se,
Bharosha jo karte hai dhokha kar raha hu unse,
Nahi de paa raha unko unke hisse ki khushiyan,
Dar lag jata hai jab bhi dekhta hu piche mud ke,

Chandani raat bhi ab mujhe jalane lagi hai,
Meri zindagi bhi ab mujhpe muskurane lagi hai,
Baithe baithe achanak mai kahi kho sa jata hu,
Khuli aankho se ab mujhe nind aane lagi hai.

Fulo se bhi meri dushmani ho gayi hai,
Kanto se bhari meri zindagi ho gayi hai,
Khushi mujhse ab jaise ruth si gayi hai,
Gam se meri sachchi dosti ho gayi hai.

Ujale se kabhi kabhi dar lagne lagta hai,
Fir andhera hi mujhe apna ghar lagne lagta hai,
tanhai me basana chahta hu mai khud ko,
aur ujda hua mujhe mera shehar lagne lagta hai,

mujhe apno se bas unki khushi chahiye,
jisme kabhi gam na aye aisi unki zindagi chahiye,
mai unse kuch nahi mangata apne liye,
jo wo chahte hai mujhe bas wahi chahiye.



……………………………………………………………Ambuj Pandey

3 comments: